Sunday, September 4, 2011

Aisi Bhi Eid

Zindagi ki 28th Eid...





Sirf Ek Saal mein kitna Kuch Badal Jaata Hai...


Dost jitne Acche Tareeque se mile the us se buri tareeqe se Bichad gaye...


And the credit goes to one and only one.... No need to name him...





Dosti ki Auqaat hi naheen hai Shayad...


Aakhir Kaar har ek neutral ban kar, jaisa apne liye sochta hai, waisa hi sab ke liye to naheen soch sakta na :-)





Eid ki Raat hi Jhagda, Baasi ko Electric Supply ka lafda, Tiwaasi ko Ratjagaa and Chawaasi Ko Bla Bla...





Yoon Guzar bhi Gaye Chutti ke Din... And back to the Shab w Roz :-)





One thing I am really sure about, I need to identify frieds and filter out foes from them. Its a such a great reality that All my foes have been my friends.





Anyways, spendig time with family is always a Good idea. and it always brings happiness. Must prioritise the stuff and live the life the way I should be.....





Some learnings this Eid:





"Mujhe Jo Kehna Tha Main ne Kah Diya, Tumhein Jo Samjhna Hai Samajh Lo"


And how can I forget the SMS I received last night... Emotional Attyachar..... Ha Ha Ha

Tuesday, August 23, 2011

Nuqoosh e Javidaan

Zamaane ke Fasaane
Fasaanoon ke Zamaane

Nazakat ke Bahaane
Na aaye woh manaane

Duriyoon ke Sawaal,
Masoom se Jawaab

Umr e Rafta ki Rangeeniyaan
Rangeeniyoon ki Tanhiyaan

Intezaar un khwaboon ka
Bhooli Bisri Yaadoon ka

Yadoon ka, un Batoon ka,
Wadoon Ka, un Khwaboon ka

Tabeer to ho, Tasveer to ho...
Apni bhi Taqdeer to ho....

Sabhi Kuch hai tera diya hua, Sabhi rahatein sabhi kulfatein....

Monday, June 6, 2011

Naakaamiyaan

Kammiyaabi yunhi to naheen milti....
Bahut kuch sochna hota hai.....
Bahut Kuch karna hota hai....
Bahut kuch Sahna hota hai....

Naakaamiyaan Koyi buri baat naheen hai....
Naakaamiyoon se seekhna zaroori hai.....

Sirf jazbaat se kaam naheen chalta.....
Isteqlaal bhi zaroori hota hai......

Josh se naheen Hosh se kaam lena bhi aana chahiye...
Logoon ka kya hai....
Log to kuch bhi kaheinge.......

Apni raah khud chunoo....

Saturday, May 21, 2011

Veeraniyaan... Tanhaaiyaan.......Ruswaaiyaan

Dasht e Waheshat ka Sukoon
Ya Bahr e be karaan ka talatum
Yasiyat ke Andherron Mein
Yasiyat ke andheroon ki rooh ko
Taazgi to deta hai

Lekin is Zeest e Zakh w Hunar Mein
Rooh ka Talaatum bhi
Maani to rakhta hai

Qafas ke Veeraan Dareechoon mein
Soch ko Tasveer to milti hai

Chaman ki rangeeniyaan na sahi
Tasavvur e Chaman e Rang w Bu
Zahan ko Muattar to karta hi hai

Husn ki karishma Saziyaan na Sahi
Jalwonn ki be baakiyaan na sahi
Barfeeli pahadiyoon ki khamooshiyaan na sahi
Soch ki Angdaaiyaan to hoti hain

Soch ki In Angdaiyoon se,
Khamoosh Nazaaroon ki
Rooh Muztarib to hoti hai....

Be baakiyaaon ke nazaaroon ki
Tishnagi to hoti hai

Veeraan dareechoon se
Aahat ka Intezaar to hota hai

Khamoosh nazaaroon ka intezaar to hota hai

Koyi Intezaar Samar Aavar bhi na ho to kya Gham,
Intezaar ke Inteha ki
Inteha to honi hai

Yasiyat ke Andheroon mein
Roshni ka Meenar
Jalwa Faroozaan to hone ko hai

Dasht e Waheshat ka sukoon
Bazor e Talatum e Tishnagi e Rooh
Barbaad to hone ko hai


Zaki Anwar Hamdani

Wednesday, February 16, 2011

Summer is Back.....

Summer is Back.....
So is Joy.....
So is Passion......
:-)

Monday, January 24, 2011

Ke Ab tak Kis Tamanaa ke Sahaare Ji liya Main ne

Zindagi kya cheez hai.....
Kuch jeene ke hathoo mar jaate hain to kisi ko tofaan se khelta hua tinka bhi haseen lagta hai..... :-)
Jis maqsad ko kabhi Zindagi ka nasb ul ain bana jaata hai.... Wohi Maqsad pura hone par Zindagi naye Nasb ul Ain ke liye Uksaati hai........

Main ne Zinda rahne ke Gur par bhi to kabhi Gaur farmaaya tha.....
Tabhi to kahta hun...... Zindaa Hoon Main...................

Monday, January 10, 2011

Ecstacy

11 of Sadharang's.
Nagpur Zindabaad....

No readers but writers...............
I cant believe...

Yaqeen Muhkam..............Amal Paiham..........