Tuesday, October 13, 2009

Nuqoosh

Qahet mein sirf maut arzaan hoti hai aur Qaht ur Rajal mein Zindagi.

Marg e Anboh ka jashn ho to Qahet, Hayaat be masraf ka maatam ho Qaht ur Rajal. Ek Aalam maut ki nahaq zahemat ka, dusra zindagi ki nahaq tuhmat ka. Ek samaan Hashr ka dusra mahez Hasharat ul Arz ka. Zindagi ke ta-aq-qub mein rahne waale Qahet se zyada Qaht ur Rajal ka gham khaate hain.

Basti, Ghar aur zabaan khaamosh. Darakht, jhaad aur chehre murjhaaye. Mausam aur lab khushk. Nadi, naher aur halaq sukhe. Jahaan paani maujein martaa tha wahaan khaak udne lagi. Jahaan se meenh barasta tha wahaan se aag barasne lagi. Log pahle nidhaal huye phir behaal. Aabadiyaan ujad gayein aur veerane bas gaye. Zinfagi ne yeh manzar dekha to kaheen door nikal gayi, na kisi ko is ka yaara na tha na kisi ko is ka suraagh. Yeh Qahet mein zameen ka haal tha.


Abr dil khol kar barsaa, chote chote dariyaaoon mein bhi paani chadh aaya. Dekhte hi dekhte aisa jal thal hua ke sabhi tar daaman ho gaye. Daulat ka sailaab aaya aur qana-at ko khas o khaashaak ki tarah bahaa le gaya. Ilm w daanish dariya burd huye aur hosh w khirad maye naab mein garq. Din huwa w hawas mein katne lage aur raat naao nosh mein. Din ki raushni itni tez thi ki aankhein khaira ho gayein. Raat ka shor itna buland tha ke har aawaz us mein doob gayi. Karvaan ne raah hi mein apna rakht e safar khol diya. Log Shaad baad ke taraane gaane lage. Gar cha manzil e muraad abhi bahut door thi. Zindagi ne yah manzar dekha to kaheen door nikal gayi., na kisi ko is ka yaara tha na kisi ko is ka suraagh. Yeh Qaht ur Rajal mein zameen ka haal tha.
Shaayar ne jo yeh haal dekha to nauha likha:

Be dili haaye tamasha ke na ibrat hai na zauq
Be kasi haaye tamanna ke na duniya hai na deen

Dil giriftagi ne kaha aisi shaadabi us veerani par qurbaan jahaan madar e ayyam ki saari dukhtaraan e aalam maujood hoon magar wabaaye Qaht ur Rajal na ho. Is waba mein aadmi ka yeh haal ho jaata hai ke mardum shumaari ho to be shummar, mardum shanaasi ho to nayaab.