Tuesday, June 26, 2012

Aatish e Ishq........

Dard phir Jaaga, Purana zakhm phir taaza hua
Fasl e Gul kitnay qareeb aayi hai andaza hua

Subha yuun nikli sanwar ke jis tarha koyi Dulhan
Shabnam aawaiza huyi Rang e Shafaq Ghaza hua

Haath mere bhool baithe Dastakein dene ka fan
Band mujh par jab se us ke ghar ka darwaaza hua

Rel ki Seeti mein kaisi Hijr ki tam-heed thi
Us ko Rukhsat kar ke ghar laute to Andaaza hua....

Wednesday, June 13, 2012

Mehdi Hasan Khan

Mehdi Hasan Khan is no more. He died of multiple organ failure today at Aga Khan Hospital, Karachi. May his soul rest in peace. Remember a Ghazal sung by him:

patta patta boota boota haal hamaara jaane hai
jaane na jaane gul hi na jaane, baag toh saara jaane hai
patta patta jaane hai, boota boota jaane hai

aashi kissa so toh sada koyi aur na hoga duniya mein
jike jain ko ishq mein usake apna waara jaane hai
patta patta jaane hai, boota boota hmm hmm
chaurahari bimaari yeh dil ki, rase shehar yeh husn nahi
warna dilbar nadan bhi iss dard ka chaura bhi jaane hai
patta patta jaane hai, boota boota jaane hai

kya kya fitne sar par usake laata hai maashuq apna
jispe dil pe taabo taapo ishq ka maara jaane hai
patta patta jaane hai, boota boota jaane hai
patta patta boota boota haal hamaara jaane hai

Friday, June 8, 2012

Mausam ki Pehli Baarish


Main kyun us ko phone karun!
uss ke bhi to ilm mein hoga
kal shab
Mausam ki pehli barish thi!



Ab bhi Barsaat ki Ratoon mein Badan Toot-ta hai
Jaag uthti hain Ajab Khwahishein Angdaiiyoon ki



Hum to samjhe the ke barsaat mein barsegi Sharaab
Aayii barsaat to barsaat ne dil tod diyaa  ;-)


Saawan ki ghata aaj bhi purkaif hai lekin
guzree huyi barsaat ki Hasrat nahi jaati



Lams-e-janaaN ,fishaar-e-jaaN baarish
zakhm-e-taaza ki raazdaaN baarish

toot kar barsay teri yaad ke phool
phir huyi raat naa gehaaN baarish

ik naye qurb ka pyasaa hai wujood
ik naye khwaab ka jahaaN baarish

hijr ki dhoop dilaati hai yaad
piyaas bhadkaati mehrbaaN baarish

habs-e-jaaN kis tarah sahaarein gay
pal do pal de hamain amaaN baarish

khwaahish-e-wasl iste'aara hai
bhool saktay hain hum kahaaN baarish

qurb-e-yaaraaN ki taiz khushboo
kishti-e-khwaab baadbaaN baarish