Main kyun us ko phone karun!
uss ke bhi to ilm mein hoga
kal shab
Mausam ki pehli barish thi!
Ab bhi Barsaat ki Ratoon mein Badan Toot-ta hai
Jaag uthti hain Ajab Khwahishein Angdaiiyoon ki
Hum to samjhe the ke barsaat mein barsegi Sharaab
Aayii barsaat to barsaat ne dil tod diyaa ;-)
Saawan ki ghata aaj bhi purkaif hai lekin
guzree huyi barsaat ki Hasrat nahi jaati
Lams-e-janaaN ,fishaar-e-jaaN baarish
zakhm-e-taaza ki raazdaaN baarish
toot kar barsay teri yaad ke phool
phir huyi raat naa gehaaN baarish
ik naye qurb ka pyasaa hai wujood
ik naye khwaab ka jahaaN baarish
hijr ki dhoop dilaati hai yaad
piyaas bhadkaati mehrbaaN baarish
habs-e-jaaN kis tarah sahaarein gay
pal do pal de hamain amaaN baarish
khwaahish-e-wasl iste'aara hai
bhool saktay hain hum kahaaN baarish
qurb-e-yaaraaN ki taiz khushboo
kishti-e-khwaab baadbaaN baarish
No comments:
Post a Comment