Kashtiyaan Jalaana baarha suna tha.....
Koshish ki to kisi se kaha hargiz naheen
Samjha ke Kashtiyaan Mahfooz hain
Sirf Kuch dinoon ke liye ek hisaar mein maqayyed hain.....
Sirf ek Qaid hi to hai
Tab bhi Maani aaj Samajh mein aaye
ke Kashtiyaan Jalaana Kya hota hai
Kaash har Kashti Jala di jaaye...............
Tarique bin Ziyaad ki tarah.............
Wednesday, June 23, 2010
Subscribe to:
Posts (Atom)