Wednesday, May 28, 2008

Laut Aao

Laut Aao

Is say pehlay ke Dasht-e-Imkaan ko
Visl-e-Jaanan ki arzoo na rahay

is say pehlay ke Bar-e-Ghum se kahin
tujh ko panay ki justajoo na rahay

is say pehlay ke Dasht-e-Kahish se
Farsh-e-Afsurdagi bichay Sar-e-Raah

laut aaoo ke muntazir hai nigah
is say pehlay ke Loh-e-Qismat per

Bab-e-Ulfat tamam ho jay
is say pehlay ke
Shaam ho jay.....

Zameen e Chaman

Har roz Snickers khate ho.... koyi acchi baat hai? Chocolate to chocolate hota hai.. Agar kabhi kabhi Snicker ko Mars likh diya to kya qayamat aa gayi???? Aaj google seach kiya... pata hai kya jawaab aaya?

6 000 Indian rupees = 149.291551 Swiss francs

CHF 150 se aaj kal farq to zaroor padta hai.....Baat 150 frank ki naheen baat hai usooloon ki.....Agar usool ko murgi ke dabbe mein rakh do kya dusri baar qayamat wala sawaal karun?

Hostel bhi to murgi ke dabbe jaisa hi hota hai.....Farq yeh hota hai ke Gents hostel mein sirf murge hote hain and ladies hostel mein sirf murghiyaan :-)

KUCH NA SAMJHE KHUDA KARE KOYI.....

Tuesday, May 27, 2008

Wajdaan

Yeh hawayein...Uff yeh baarish ki bheegi bheegi si hawayein....In aehsasaat ko mahesoos kiye huye kitna arsaa ho gaya...Yoon mahesoos hua jaise watan e azeez ke kisi goshe mein phir usi masoom bachpan ke sang chala ja raha hun....

Phir us bachpan ki yaad aayi, jiske sang zindagi ke sab se haseen tareen pal guzar gaye. Jab sar e shaam, school ki chutti ke baad, baarish mein bheegte huye, thandi thandi hawaoon ke saath saath jhoomte huye, phuloon ki khushboo ko apne ang ang mein basaa kar athkeliyaan karna, haaye kitne suhaane din the.....

Aur aaj, is shahar ki hawayein bhi kuch aise hi geet gaa rahi hain....
Aaj phir beete dinoon ki yaad aa rahi hai
Aaj is shaher e khamooshaan ke is shabnami lams ne ek haijaan barpa kar diya....
Aur phir us umr e rafta ka wajdaan mujhe awaaz de raha hai....

Monday, May 26, 2008

Nafs

Hmm.. so this is luch time... lekin yeh seene ki aag kuch karne naheen deti....kal IP mein dinner kiya kya to teer maar liya??? aur 20 may ko kya hua tha....? kuch yaad hai, dekho zara kis tarah se log yaad dilaate hai, samundar mein dubna chahiye? bellevue itna bhi chota naheen hai :-) Kya jaante ho ek saal pehle kya the tum, aur do saal pehle aur teen saal pahle.... ab kya puri ginti likhni chahiye... naheen na.... main itna bhi paagal to naheen hun.....Yadein.. bas yahi to baqi hain.....Qasam se.

Sunday, May 25, 2008

Khalish

Reading novels entire weekend and watching all the star wars episodes is a good idea :-D

Just had a talk with THAT friend..... woh agar ammi abb ki pasand par haan kardeti to shayad mujhe tabhi pata chal jaata.....Us ne apni dereena mohabbat se qraar kiya par kaafi der se...Us zaalim maheboob ki shaadi ho chuki hai......Is tarah yeh kahaani apne anjaam ko pahunchi....

Ba har haal, Khalish to Khalish hoti hai.... iska number kitna hua

Jab ek ghazal gaayi gayi thi
phir us chaand se chehre wale maheboob ne
jo phir khushiyaan le kar aaya
us dayaar e gair se
apni nayi faujoon ke hamraah

Ha Ha.... nice one i guess :-D

Saturday, May 24, 2008

Infiniteness

Tum ne waqt ko ek dariya samajh liya hai aur iske kinaare baithe huye is ki rawangi se lutf andoz ho rahe ho......Haalanke tumhari rooh ki lamatnahiyat waqt ki lamatnahiyat se bakhoobi waqif hai.....

Bak raha hun junoon mein kya kya kuch.....Kuch na samjhe khuda kare koyi :-)

Anyways.... finished GARDAAB today.........infact in less than 24 hours, it was not that difficult :-) In thake thake bojhal lamhoo ki ukseer bhi to khatm ho chuki hai... yes.. have finished all the Ibne Safi books I brought to Zurich :-)

Aur in tamaam par turra yeh ke...
KHUSHBOO KAHEEN NA JAYE PE ISRAAR HAI BAHUT - AUR US PE YEH AARZOO KE ZARA ZULF KHOLIYE

The vacuum cleaner i bought yesterday is good. I am making use of that...
hey hey... I have to watch STAR WARS.....bye