Friday, May 25, 2012

Kumaar

Ik pal me ik sadi ka maza hum se poochhiye
Do din ki zindagi ka maza hum se poochhiye

Bhoole hain rafta rafta unhe muddatto me ham
Qisto me Khudkushi ka maza hum se poochhiye

Aaghaaz-e-aashiqi ka maza aap jaaniye
Anjaam-e-aashiqi ka maza hum se poochhiye

Woh jaan hi gaye ke hame un se pyaar hai
Aankho ki mukhbari ka maza hum se poochhiye

Wednesday, May 23, 2012

Jo beet gaye fir wo zamaane nahi aate

Jo beet gaye fir wo zamaane nahi Aate
Aate hai naye log, puraane nahi Aate !

Lakdi ke makaano me diyo ko na jalaao
Ab aag padosi bhi bujhaane nahi Aate

Muddat hui is ped ki har shaakh hai sookhi
Panchi bhi yaha ab raat bitaane nahi Aate

Kya haal gulistaa ka tere baad hua hai
Bache bhi ab yaha phool churaane nahi Aate

 
Honthon Pe Mohabbat K Fasaane Nahi Aate,
Sahil Pe Samundar Ke Khazaane Nahi Aate,

Palkain Bhi Chamak Uthti Hai Soti Mein Hamari,
Aankhon Ko Abhi Khawab Chhupane Nahi Aate,

Dil Ujdi Hui Ek Saraaye Ki Tarha Hai,
Ab Log Yaha Raat Bitaane Nahi Aate

Thursday, May 17, 2012

Ilahi teri chokhat per bhikari ban kay aaya hoon

Ilahi teri chokhat per bhikari ban kay aaya hoon,
Sarapa faqr hoon, ijz-o-nadamat saath laya hoon,

Iraaday muzmehehal, himmat shikasta hoslay murda,
Kahan say laoon takat dil ki sachi tarjumani ki,
Ke kis jhanjhal mein guzri hein ghariyan zindagani ki.
Khulasa yeh ke bus jull bhun ker apni roo-sayahi sey,
Sarapa faqr ban ker apni haalat ki tabahi sey,
Tere darbar mein laya hoon apni ab zaboon-haali,
Teri chokhat ke laeq har amal se hath hein khali,
Yeh Tera ghar hai ye Tere mehr ka darbar hai Maula
Sarapa noor hai, ik mohbat-e-anwaar hai Mola.
Teri chokhat ke jo adab hein, main unn se khali hoon,
Nahi jis ko saleeqa manganey ka, woh sawali hoon
Zuban ghalt-e-nadamat dil ki na’kas tarjumani per,
Khudaya reham meri iss zaban-e-ijz-zabani per,
Ye ankhein khushk hein, Ya Rabb inhein rona nahi aata,
Sulagtay daagh hein dil mein jinhein dhona nahi aata.
Ilahi teri chokhat per bhikari ban kay aaya hoon,
Sarapa faqr hoon, ijz-o-nadamat saath laya hoon,