Wednesday, October 1, 2008

Eid

Kya hua jo…..

Is baad-e-sabaa ki narmi mauja-e-gul ne taraashi hai
In sub-hon mein qaus-e-qazaah ki rang paashi hai

Yeh chehroon pe daizy ke gulaabi phool ki rangat
Yeh hawayein jo khushboo ke bojh se dabi jaati hain

Yeh gehri shaam ka daaman kashaan jaadu
Yeh ujle mausamon ki gul fishaan khushboo

Yeh aankhein jin mein neelam ki chamak awad kar aayi hai
Yeh jo hontoon par be wajah muskurahat paayi jaati hai


Eid aa gayi Shayad……….

Wishing you Eid Mubarak……..