Saturday, May 21, 2011

Veeraniyaan... Tanhaaiyaan.......Ruswaaiyaan

Dasht e Waheshat ka Sukoon
Ya Bahr e be karaan ka talatum
Yasiyat ke Andherron Mein
Yasiyat ke andheroon ki rooh ko
Taazgi to deta hai

Lekin is Zeest e Zakh w Hunar Mein
Rooh ka Talaatum bhi
Maani to rakhta hai

Qafas ke Veeraan Dareechoon mein
Soch ko Tasveer to milti hai

Chaman ki rangeeniyaan na sahi
Tasavvur e Chaman e Rang w Bu
Zahan ko Muattar to karta hi hai

Husn ki karishma Saziyaan na Sahi
Jalwonn ki be baakiyaan na sahi
Barfeeli pahadiyoon ki khamooshiyaan na sahi
Soch ki Angdaaiyaan to hoti hain

Soch ki In Angdaiyoon se,
Khamoosh Nazaaroon ki
Rooh Muztarib to hoti hai....

Be baakiyaaon ke nazaaroon ki
Tishnagi to hoti hai

Veeraan dareechoon se
Aahat ka Intezaar to hota hai

Khamoosh nazaaroon ka intezaar to hota hai

Koyi Intezaar Samar Aavar bhi na ho to kya Gham,
Intezaar ke Inteha ki
Inteha to honi hai

Yasiyat ke Andheroon mein
Roshni ka Meenar
Jalwa Faroozaan to hone ko hai

Dasht e Waheshat ka sukoon
Bazor e Talatum e Tishnagi e Rooh
Barbaad to hone ko hai


Zaki Anwar Hamdani

No comments: