Fasaanoon ke Zamaane
Nazakat ke Bahaane
Na aaye woh manaane
Duriyoon ke Sawaal,
Masoom se Jawaab
Umr e Rafta ki Rangeeniyaan
Rangeeniyoon ki Tanhiyaan
Intezaar un khwaboon ka
Bhooli Bisri Yaadoon ka
Yadoon ka, un Batoon ka,
Wadoon Ka, un Khwaboon ka
Tabeer to ho, Tasveer to ho...
Apni bhi Taqdeer to ho....
Sabhi Kuch hai tera diya hua, Sabhi rahatein sabhi kulfatein....
No comments:
Post a Comment