Tuesday, June 10, 2008

Laati hai aise mod pe Qismat kabhi kabhi

Insaan galtiyoon ka putla hai. Zindagi ke kisi na kisi na mod pe har insaan se galtiyaan ho hi jaati hain.

Albatta jin qaumoon ne apni galtiyoon ke apne ihtesaab ka zariya bana liya unhoon ne duniya mein taraqqi paayi aur apni galtiyoon par kisi had qaabu bhi paaliya.

Main bhi insaan hun.Main ne bhi galtiyaan ki hain. Allah maaf farmaye.
Lekin yeh galti jo ho gayi, iski wajah se zindagi bhar ek khalish ke saath rahna hoga.Khutoot to bahut saare aate hain lekin shaayad aisa kabhi hi hota ho ke koyi khat bina nazroon se guzare ek mahine tak rah jaye.

Aur khat bhi woh jiska badi shiddat se intezaar hota hai.... Lekin pata bhi naheen ke khat aane waala hai....Laati hai aise mod pe qismat kabhi kabhi

No comments: