Thursday, June 19, 2008

Khalish

Kehte hain ke zindagi aasaan naheen hoti. Kuch log to jeene ke haathoon mar jaate hain. Kuch ki haalat yun ho jaati hai ke agar aasaaniyaan ho to zindagi dushwaar ho jaati hai.

Yeh zindagi bahut saare chehre le kar aati hai. Har rishte ka ek alag chehra hota hai. Koi rishta kisi ke liye zindagi ka sab khuch hota hai to wahi rishta kisi ke liye wabaal e jaan.
Kuch log to tang aakar Duniya bananewale se hi puchne lagte hain ke kyun tune duniya banayi....

Lekinn kya karein... Allah ne humein marne se bhi mana kar diya hai....

Laayi hayaaat aaye, Qaza le chali chale
Apni khushi se aaye na apni khushi chale

Zindagi ka ghinaaona chehra kitzna ghinaaona hota hai, yeh zindagi ka ek raaz hai, jo har ek par aashkaara hai lekin koyi bhi ise zaahir naheen karta....

Kal jo kuch hua... woh kitna kareeha tha...Ji mein aata hai ke duniya banane waale se shikayat karun......

No comments: