Monday, June 6, 2011

Naakaamiyaan

Kammiyaabi yunhi to naheen milti....
Bahut kuch sochna hota hai.....
Bahut Kuch karna hota hai....
Bahut kuch Sahna hota hai....

Naakaamiyaan Koyi buri baat naheen hai....
Naakaamiyoon se seekhna zaroori hai.....

Sirf jazbaat se kaam naheen chalta.....
Isteqlaal bhi zaroori hota hai......

Josh se naheen Hosh se kaam lena bhi aana chahiye...
Logoon ka kya hai....
Log to kuch bhi kaheinge.......

Apni raah khud chunoo....

Saturday, May 21, 2011

Veeraniyaan... Tanhaaiyaan.......Ruswaaiyaan

Dasht e Waheshat ka Sukoon
Ya Bahr e be karaan ka talatum
Yasiyat ke Andherron Mein
Yasiyat ke andheroon ki rooh ko
Taazgi to deta hai

Lekin is Zeest e Zakh w Hunar Mein
Rooh ka Talaatum bhi
Maani to rakhta hai

Qafas ke Veeraan Dareechoon mein
Soch ko Tasveer to milti hai

Chaman ki rangeeniyaan na sahi
Tasavvur e Chaman e Rang w Bu
Zahan ko Muattar to karta hi hai

Husn ki karishma Saziyaan na Sahi
Jalwonn ki be baakiyaan na sahi
Barfeeli pahadiyoon ki khamooshiyaan na sahi
Soch ki Angdaaiyaan to hoti hain

Soch ki In Angdaiyoon se,
Khamoosh Nazaaroon ki
Rooh Muztarib to hoti hai....

Be baakiyaaon ke nazaaroon ki
Tishnagi to hoti hai

Veeraan dareechoon se
Aahat ka Intezaar to hota hai

Khamoosh nazaaroon ka intezaar to hota hai

Koyi Intezaar Samar Aavar bhi na ho to kya Gham,
Intezaar ke Inteha ki
Inteha to honi hai

Yasiyat ke Andheroon mein
Roshni ka Meenar
Jalwa Faroozaan to hone ko hai

Dasht e Waheshat ka sukoon
Bazor e Talatum e Tishnagi e Rooh
Barbaad to hone ko hai


Zaki Anwar Hamdani

Wednesday, February 16, 2011

Summer is Back.....

Summer is Back.....
So is Joy.....
So is Passion......
:-)

Monday, January 24, 2011

Ke Ab tak Kis Tamanaa ke Sahaare Ji liya Main ne

Zindagi kya cheez hai.....
Kuch jeene ke hathoo mar jaate hain to kisi ko tofaan se khelta hua tinka bhi haseen lagta hai..... :-)
Jis maqsad ko kabhi Zindagi ka nasb ul ain bana jaata hai.... Wohi Maqsad pura hone par Zindagi naye Nasb ul Ain ke liye Uksaati hai........

Main ne Zinda rahne ke Gur par bhi to kabhi Gaur farmaaya tha.....
Tabhi to kahta hun...... Zindaa Hoon Main...................

Monday, January 10, 2011

Ecstacy

11 of Sadharang's.
Nagpur Zindabaad....

No readers but writers...............
I cant believe...

Yaqeen Muhkam..............Amal Paiham..........

Sunday, December 12, 2010

Miss You All

Gone are the days....
When we were together....
Days and Nights.........
You were in my arms......

Face to Face....
My eyes stuck to you.....
Your Words.....
So Ecstacial....

Where are you all?
I miss you all??
I miss you so much...
I swear, I miss you...

All those monthly magzines..
Hazaar Rang, Chahar rang,
Jasoosi Digest and Sadharang..
Talaash Jadeed and all.......

Wednesday, November 10, 2010

Muskurahat

Zindagi mein Kuch cheezein Aisi hoti hain jo kush maani naheen rakhtein lekin dar asl wohi Saari Zindagi ka Maani rakhti hain......

First Time Examiner was a Good Experience in fact :-)

The Funny Questions
The Funny Answers
The Funny Reasons
The Funny Faces
The Funny Seriousness
The Funny JOKES :-)

Ha Ha Ha.... Had a lot of fun.....
Time was also that not bad.....

Enjoyed.