Phir Wohi Eid……
Zindagi Ki 27th Eid…..
Har baar ki tarah is baar bhi Khushiyaan be hisaab….
Muskurahatein an-ginat.
Is baar Eid ka maza kuch aur tha…..
Phir who chahe Dugaane ke liye Eid Gaah Eid Gaah bhatakna :-) ho ya guzare dinoon ka malaal….
In sab se badh kar tha nayi dosti ka haseen ahessas aur guzari refaaqatoon ka suroor angez Jaam e Khayaal..
Aath saal pehle jab Parvez Bhaiya se Mohabbat aur Nafrat ki Shiddat par baat huyi thi to khyaal kiya tha ke Nafrat Shadeed hoti hai kyun ke is mein koyi Garaz naheen hoti……
Aaj Dostoon ki Mohabbatein dekh kar ahesaas hua ka shayad who khyaal Galat tha……
Kuch logoon ke yoon badal jaane ka hizn to apni jagah tha…..Lekin Guzare dinoon ke Yadein jis tarah Taaza huyien…..is tarah ki tabdeeli har baar mumkin naheen……………
Rashid ke Khet ka maza hi kuch aur hai :-)…….
Shayad aisa pehli baar hua ka pehla din kam pad gaya………..
Dusra din bhi betaab hi tha………
Bade dinoon baaf Cricket Khela……
Lutf ke hare ek Lamhe ko Aaala e Shuaayi Khaake mein Qaid kar liya gaya…..
Haaye yeh Eid……………….
Main ba Sajdaye Shukr Dua Go hoon ke…….
Khuda Bichde diloon ko milaaye to aise milaaye….
Eid aaye to aisi aaye…………
Baar Baar Aaye………
Hazaar Baar Aaye……..