Duniya ne humein choda Jazbi hum chod na dein kyun duniya ko
Duniya ko Samajh kar baithe hain ab Duniya Duniya Kaun Kare.....
Aaj is Dil e Khush Fahem ki Enaayat hai ke Zeest ke in lamhoo ki yasiyaat pe Qahqahe lagaane ke liye machalraha hai.........
Yaadein... Bahut Yaad aati hain.....
Kooche.... Nigaahoon ke Saamne Lahra Jaate hain....
Raanaayiyaan.....Tasavvur mein bal khaati hain hain.....
Ruswaayiyaan.... Peecha Naheen Chodti
Khushboyein.... Phir Muattar kar Jaati hain
Nigaaheen..Waisi hi Fasoon Kaar hain
Asoodgiyaan.....Ek Tasveer hai.... Yaddon ke Parde par.... jhilmilaate huye....Ek ShahKaar
Qismat ke Fareb....
Tanhaayi Ka Azaab....
Zakhmoon ke Dard.....
Aur ab..... Yasiyaat par Qahqahe....
Monday, August 23, 2010
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment