Wednesday, March 21, 2012

Mohabbatein

Mohabbat ki bhi jaati hai
Mohabbat ho bhi jaati hai
Kisi ki Sokhta kashti
Bhanwar mein kho bhi jaati hai

Magar yeh ek Haqeeqat hai
Mohabbat bas Mohabbat hai
Mohabbat ek Riyaazat hai
Mohabbat ek Ibaadat hai
Mohabbat jhuk naheen sakti
Yeh ek aisi Baghaawat hai

Yeh Sooni rahguzaroon par
Kabhi paiham chalti rahti hi
Diloon meij dard ki soorat
Hamesha palti rahti hai
Naheen kuch bhi jahaan mein jo
Mohabbat kar naheen sakti
Visl ho ya Gham e Hijraan
Mohabbat mar naheen sakti

Mohabbat re-gazaroon ko bhi Zauq e Zindagi de de
Mohabbat khaaksaaroon ke urooj e bandagi de de
ayaan kar de haqeeqat chaand taroon ki zamaane pe
andhere mein ummeedon ki bhadakti roshni de de

Mohabbat hi Gulaaboon mein
Mohabbat hi kitaaboon mein
Mohabbat thal ki retoon par
Mohabbat hi chanaaboon mein
Kabhi yeh Najad mein raqsaa
kabhi waris ke khwaboon mein

Kabhi phooloon se rastoon par kabhi dariya ki masti mein
Kabhi basti mein tanhaayi, kabhi tanhaayi hasti mein
Kabhi Soqraat ki soorat kabhi Sarmad ke naare bhi
Kabhi deewaar mein madfan kabhi Jamna kinaare bhi
Kabhi seezar, klopatra ke pur hangam fasaanoon mein
Kabhi shaayar ki Nazmoon mein kabhi mausam ki taanoon mein

Mohabbat Zindagaani hai
Mohabbat javidani hai
Naheen hai Ant hi Jis ka
Yek ek Aisi kahaani hai
Yeh jazboon ki ravaani hai
Samay ki Shadmaani hai
Jahaan ka har haseen Jazba
Isi ki Maherbaani hai

To phir makhmoor ankhoon se payaam e Zindagi de do
Meri sadiyoon ki Zulmat ko tum apni roshni de do

Gulaaboon ka yeh mausam hai
Gulaaboon ko hansi de do
naheen kal ki Khabar koyi
Yeh mausam aaye na aaye
Yeh baadal barsein na barsein
Yeh rim jhim chaaye na chaye
Zara haathoon mei de kar haath
Inko ham safar kar lein
Yeh lamhe beet na jaayein
Inhe aao amar kar lein

No comments: