Monday, September 21, 2009

Ab ki Eid

Zindagi ka mahesoos hota hua thahraoo shaayad itna mahesoon na hona chahiye tha....Lekin pichle waqtoon se jo waqt ke saath daudte rahne ki aadat si ho chuki hai, us ne Thahraao ki gaheraayi ko mazeed ujaagar kar diya tha......

Aur jab Zindagi ki daud ka ek baar phir se aaghaz ho gaya to......No Words :-)

Is baar Eid par kaafi waqt mila.. Shahr e azeez ki galiyon ki Raunaqein, Veeraniyaan, Gahma Gahmi, Shor Sharaba, Ladayi Jhagde, Hashr Samaaniyaan, Raat ki ba tabiyaan, Guftagoo ki ravaniyaan, Bichde dostoon ki kahaniyaan, Eid ki khareedaari,,, Har ek cheez ke saath waqt guzaarne ma mauqa mila....

Dil e be taab ne yahaan bhi apne liye ek rassta dhoond hi liya... Proteus ka simulation apne hi ustaad ko sikhaana ba-as e fakhr to zaroor tha....

Koochon se guzarte huye be ikhtiyaar ek dahaayi pehle ka zamaana yaad aa gaya.....
Saal tha 1999 ka, aur main tha dahum jamaa-at mein...... Dil ki veeraaniyoon ke liye school to kaafi na tha.........is liye masroofiyaten to dhoondh hi li thein us waqt bhi......

Lekin haaye yes das se das hazaar ka safar........Us kulfat ki ulfat aur kahaannnn :-)
Allah ka laakh laakh shukr hai..........

No comments: