Thursday, August 14, 2008

Hejaan

Rab ne is nafs ko ek ajeeb si khalish ata ki hai jo shayad har kisi ki qismat mein naheen hoti.

Har waqt kuch karne ka junoon......
Agar mamool se hat kar koyi naya kaam na karun to Dil mein ek ajab sa hejaan barpa ho jaata hai.......

Kabhi gaur karo to Samajh mein aata hai ke yahi tadap, zindagi ka haasil hai.....
Yahi tadap insaan ko zinda rakhti hai....
Yahi tadap kuch aisa karne pe majboor karti hai jo kisi aur ne naheen kiya ho.....

Yahi tadap Insaan ko nayi raheen dikhlaati hai.....
Yeh tadap zinda rahe to Insaan ek mamooli shakhs se ek Azeek shakhsiyat ban jaata hai....

No comments: