Thursday, July 3, 2008

Ek Chota sa ladka tha main jin dinoon

Ek Chota sa ladka tha main jin dinoon
Ek mele mein pahuncha humakta hua

Ji machalta tha ek ek shaye par magar
Jeb khali thi kuch mol le na saka

Laut aaya liye hasratein saikdoon
Ek Chota sa ladka tha main jin dinoon

Khair, mahroomiyoon ke who din to gaye
Aaj mela laga hai isi shaan se

Aaj chahoon to ek ek Dukaan mol loon
Aaj chahoon to sara Jahaan mol loon

Na-risayi ka ab ji mein dhadka kahan
Par woh chota sa al-lhad sa ladka kahan

Ibn – e – Insha

No comments: