Monday, March 19, 2012

Kaifi Aazmi


Na jee bhar ke dekhaa na kuch baat ki,
Badi aarzoo thi mulaqaat ki,


Kayi saal se kuch Khabar hi nahin,
kahaan din guzaaraa kahaan raat di,


Main chup tha tou chalti hawa ruk gayi,
Zubaan sab samajhte hain jazbaat ki,


Sitaaron ko shaayad khabar hi nahin,
Musaafir ne jaane kahaan raat ki...

Monday, February 27, 2012

sunheri shaam

gulaabi iadoom ke mausam mein, Shaher e khamooshaan ki veeraniyoon mein, dhalte sooraj ki naaranji shuaayein, zard patton ke rukhsaar par, Jawaan shaakoon ki hiddat ki manind, kitni shokhiyaan bikherti hai......kitni aashiftagi bikherti hai.....

Yeh naranji shuayein, jab aankhoon mein chamke to kya khwaab dikhaaye..... jab palkoon pe utre to kya manzar dikhaye...... jab chehre pe damke to kya muskaan jaagaye...... Jab panchi ko chu le to kya geet sunaaye.... Jab hontoon ko chu le to muskaan jagaaye..... Jab baadal pe nikhre to kya rang dikhaaye, jab nadiya pe taire to taroon si chamke...... Samundar pe

Barse to sone Sa damke.....phooloon ko chume to Mann mera moh le.....aur aasmaan pe phaile to shafaq khlahlaaye........


Published with Blogger-droid v2.0.2

Thursday, January 26, 2012

Neem ki shaakh par koyal ko chahakt dekha


Neem ki shaakh par koyal ko chahakta dekha
Teri tasveer ko dil mein ubharta dekha

Phir vahi mein vahi choraha vahi benaam sukoot
Phir se ehsaas ke sholon ko sulagta dekha

Tishnagi in labon pe taari hai
Teera mahaul mein shammon ko sisakta dekha

Ashkbaar Ankhon se dariya ko umadta dekha
sehra sehra aag ke dariya ko dahekta dekha

Danish yehi toh tere chahekne ka waqt tha
rah-e-maktal sar-e-kham aashiq ko guzarta dekha

Monday, January 23, 2012

Aaj main ne ek dil ko dhadakta dekha

Aaj main ne ek dil ko dhadakta dekha
Kya bateyein Manzar kya lahekta dekha

Aalam e Rang w Bu ko mahekta dekha
Har ek Guncha w Gul ko chahekta dekha

Logoon ne Meri aankho ko Chamakta dekha
Khayaal e Aaresh e Mehfil se Damakta dekha

Jaise Parvaane ko Shamma pe lapakta dekha
Chehre pe khusi ko yoon bahekta dekha

Main ne bhi tasavvur mein na kya kya dekha
Khud ko tujh par jaan nisaar karta dekha

Mehfil Zeest mein Sitara sa Ubharta Dekha
Aur Intezaar ke Sooraj ko Dhalakta dekha

Dil w jaan ko Saraapa e Shukr banta Dekha
Aur Jism w Rooh ko Sar Ba Sajda dekha

Aur phir tere liye dil ko dhadakta dekha
Aaj main ne ek dil ko dhadakta dekha

Wednesday, January 11, 2012

Ghazab ka hai din......

Ghazab ka hai din...... Dekho Zara......

Yeh shaam mastaani.......

Champayi raat ka intezaar Jo tha.......

Tere kahe mein na aaya ajab saal aaya......


Sabhi kuch hai tera diya hua Sabhi rahatein Sabhi kulfatein


Fabi ayyi aalayi rabbiku ma tukazzibaan.


Published with Blogger-droid v2.0.2

Monday, January 9, 2012

Arzoo

Teri Khudi main agar Inquelab ho paida,

Ajab nahi hai ke ye Chaar-Soo badal jaaye,


Teri Dua hai ke ho teri Aarzoo poori,

Meri Dua hai teri Aarzoo badal jaye.....


Published with Blogger-droid v2.0.2

Sunday, January 8, 2012

Raat Gaye

Subah huyi aur shaam huyi....
Shaam huyi aur raat huyi.....

Kal bhi phir se subha hogi.....
Shaam ka daaman phaile ga....

Umr yunhi beeti jaaye.....
Haaye Zindagaani kya roop hai tera......